Wo dil bhi kya jo hasa na ho,
Ek pal me jo khushi se bhara na ho,
Jisne anand mehsus kiya na ho,
Jisse sukoon kabhi mila na ho;
Wo dil bhi kya jo roya na ho,
Ek baar bhi jisne dukh saha na ho,
Jisne dhadkan khud rokna socha na ho,
Jo dil hara na ho;
Wo bhi dil kya jo prem se bhara na ho,
Umeed ki ek kiran pe jo khila na ho,
Jiske dhadkan ka ankush kisi aur ko saupa na ho,
Jo aaj tak dhadka na ho;
Wo dil bhi kya jo tuta na ho,
Waqt ke sath jo ruka na ho,
Jiske dhadkan pe apna sayam khoya na ho,
Jo bhikar ke juda na ho;
Rota toh samjhata hasna kya hota hai
Tutta toh samjhata prem kya hota hai
Dil hai ye patthar nahi,
Kabhi pakad ke dekho, thos nahi, narm hota hai.
– G.R.P.